dushvār hai is anjuman-ārā ko samajhnā
tanhā na kabhī tum dil-e-tanhā ko samajhnā
ho jaa.e to ho jaa.e izāfa ġham-e-dil meñ
kyā aql se saudā-e-tamannā ko samajhnā
ik lamha-e-hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
kuchh aur na is tundīdariyā ko samajhnā
kuchh tez havāoñ ne bhī dushvār kiyā hai
qadmoñ ke nishānāt se sahrā ko samajhnā