Ajmal Siraj

guzar gai hai abhi saat-e-guzishta bhi

Ajmal Siraj

1968
guzar ga.ī hai abhī sā.at-e-guzishta bhī
nazar uThā ki guzar jā.egā ye lamha bhī
bahut qarīb se ho kar guzar ga.ī duniyā
bahut qarīb se dekhā hai ye tamāshā bhī
guzar rahe haiñ jo bār-e-nazar uThā.e hue
ye log mahv-e-tamāshā bhī haiñ tamāshā bhī
vo din bhī the ki tirī ḳhvāb-gīñ nigāhoñ se
pukārtī thī mujhe zindagī bhī duniyā bhī
jo be-sabātī-e-ālam pe bahs thī sar-e-bazm
maiñ chup rahā ki mujhe yaad thā vo chehrā bhī
kabhī to chāñd bhī utregā dil ke āñgan meñ
kabhī to mauj meñ aa.egā ye kinārā bhī
nikāl dil se ga.e mausamoñ kī yaad 'ajmal'
tirī talāsh meñ imroz bhī hai fardā bhī
Top Urdushayar.com