ghūm-phir kar isī kūche kī taraf ā.eñge
dil se nikle bhī agar ham to kahāñ jā.eñge
ham ko ma.alūm thā ye vaqt bhī aa jā.egā
haañ magar ye nahīñ sochā thā ki pachhtā.eñge
ye bhī tai hai ki jo bo.eñge vo kāTeñge yahāñ
aur ye bhī ki jo kho.eñge vahī pā.eñge
kabhī fursat se milo to tumheñ tafsīl ke saath
imtiyāz-e-havas-o-ishq bhī samjhā.eñge
kah chuke ham hameñ itnā hī faqat kahnā thā
aap farmā.iye kuchh aap bhī farmā.eñge
ek din ḳhud ko nazar ā.eñge ham bhī 'ajmal'
ek din apnī hī āvāz se Takrā.eñge