Ajmal Siraj

kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai

Ajmal Siraj

1968
kisī ke hijr meñ jiinā muhāl ho gayā hai
kise batā.eñ hamārā jo haal ho gayā hai
kahīñ girā hai na rauñdā gayā hai dil phir bhī
shikasta ho gayā hai pā.emāl ho gayā hai
sahar jo aa.ī hai shab ke tamām hone par
to is meñ kaun sā aisā kamāl ho gayā hai
koī bhī chiiz salāmat nahīñ magar ye dil
shikastagī meñ jo apnī misāl ho gayā hai
udhar charāġh jale haiñ kisī darīche meñ
idhar vazīfa-e-dil bahāl ho gayā hai
hayā kā rañg jo aayā hai us ke chehre par
ye rañg hāsil-e-shām-e-visāl ho gayā hai
masāfat-e-shab-e-hijrāñ meñ chāñd bhī 'ajmal'
thakan se chuur ġhamoñ se niDhāl ho gayā hai
Top Urdushayar.com