nazar aa rahe haiñ jo tanhā se ham
so yuuñ hai ki bhar paa.e duniyā se ham
na parvā hameñ hāl-e-behāl kī
na sharminda umr-e-guzishta se ham
bhalā koī kartā hai murdoñ se baat
kaheñ kyā dil-e-be-tamannā se ham
nazar meñ hai jab se sarāpā tirā
jabhī se haiñ kuchh be-sar-o-pā se ham
koī jal-parī kyā parī bhī na aa.ī
magar ḳhush hue raat dariyā se ham
tamāshā.ī shash-jihat haiñ so haiñ
ḳhud apne liye bhī tamāshā se ham
samajhnā thā duniyā ko yuuñ bhī muhāl
samajhte the duniyā ko duniyā se ham