Ajmal Siraj

maine ai dil tujhe sine se lagaya hua hai

Ajmal Siraj

1968
maiñ ne ai dil tujhe siine se lagāyā huā hai
aur tū hai ki mirī jaan ko aayā huā hai
bas isī bojh se dohrī huī jaatī hai kamar
zindagī kā jo ye ehsān uThāyā huā hai
kyā huā gar nahīñ bādal ye barasne vaalā
ye bhī kuchh kam to nahīñ hai jo ye aayā huā hai
raah chaltī huī is rāhguzar par 'ajmal'
ham samajhte haiñ qadam ham ne jamāyā huā hai
ham ye samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ us ko
aaj be-tarah hameñ yaad jo aayā huā hai
vo kisī roz havāoñ kī tarah aa.egā
raah meñ jis kī diyā ham ne jalāyā huā hai
kaun batlā.e use apnā yaqīñ hai ki nahīñ
vo jise ham ne ḳhudā apnā banāyā huā hai
yūñhī dīvāna banā phirtā hai varna 'ajmal'
dil meñ baiThā huā hai zehn pe chhāyā huā hai
Top Urdushayar.com