tere sivā kisī kī tamannā karūñgā maiñ
aisā kabhī huā hai jo aisā karūñgā maiñ
go ġham aziiz hai mujhe tere firāq kā
phir bhī is imtihān kā shikva karūñgā maiñ
āñkhoñ ko ashk o ḳhuuñ bhī farāham karūñgā maiñ
dil ke liye bhī dard muhayyā karūñgā maiñ
rāhat bhī rañj, rañj bhī rāhat ho jab to phir
kyā etibār-e-ḳhvāhish-e-duniyā karūñgā maiñ
rakkhā hai kyā jahān meñ ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqāzā karūñgā maiñ
ye rahguzar ki jā-e-qayām-e-qarār thī
ya.anī ab us galī se bhī guzrā karūñgā maiñ
ya.anī kuchh is tarah ki tujhe bhī ḳhabar na ho
is ehtiyāt se tujhe dekhā karūñgā maiñ
hai dekhne kī chiiz to ye iltifāt bhī
dekhoge tum gurez bhī aisā karūñgā maiñ
hairān o dil-shikasta huuñ is hāl-e-zār par
kab jāntā thā apnā tamāshā karūñgā maiñ
haañ khīñch lūñgā vaqt kī zanjīr paañv se
ab ke bahār aa.ī to aisā karūñgā maiñ