shaam apnī be-mazā jaatī hai roz
aur sitam ye hai ki aa jaatī hai roz
koī din āsāñ nahīñ jaatā mirā
koī mushkil aazmā jaatī hai roz
mujh se pūchhe koī kyā hai zindagī
mere sar se ye balā jaatī hai roz
jaane kis kī surḳh-rūī ke liye
ḳhuuñ meñ ye dhartī nahā jaatī hai roz
giit gaate haiñ parinde sub.h o shaam
yā samā.at chahchahā jaatī hai roz
dekhne vāloñ ko 'ajmal' zindagī
rañg kitne hī dikhā jaatī hai roz