ham apne-āp meñ rahte haiñ dam meñ dam jaise
hamāre saath hoñ do-chār bhī jo ham jaise
kise dimāġh junūñ kī mizāj-pursī kā
sunegā kaun guzartī hai shām-e-ġham jaise
bhalā huā ki tirā naqsh-e-pā nazar aayā
ḳhirad ko rāsta samjhe hue the ham jaise
mirī misāl to aisī hai jaise ḳhvāb koī
mirā vajūd samajh lījiye adam jaise
ab aap ḳhud hī batā.eñ ye zindagī kyā hai
karam bhī us ne kiye haiñ magar sitam jaise