qad se kuchh māvarā charāġh jale
palkeñ uTheñ vo yā charāġh jale
tīrgī ḳhatm ho nahīñ rahī dost
dūsrā tīsrā charāġh jale
jal uThā huuñ maiñ hai añdherā kahāñ
kah rahā thā baḌā charāġh jale
yuuñ bujhā hai ki dil ye chāhtā hai
aur ik martaba charāġh jale
ghup añdhere meñ āñkheñ raushan haiñ
ab yahāñ aur kyā charāġh jale
sab ne bai.at añdheroñ se kar lī
aur maiñ kahtā rahā charāġh jale
vasl ho to charāġhāñ bhī kar leñ
hijr kī raat kyā charāġh jale
merā aur us kā vāqi.a yuuñ hai
jab huā sāmnā charāġh jale
aa.ina rakh ke sāmne dekhā
aa.ine meñ sivā charāġh jale
zau purāne diyoñ kī kam nahīñ par
ik zarā sā nayā charāġh jale
baat lekin mirī sunī na ga.ī
maiñ ne chāhā bhī thā charāġh jale
mujh ko jaltā makāñ dikhā.ī diyā
maiñ ne kī thī duā charāġh jale
aise jaltā hai aaj dil merā
jis tarah 'mīr' kā charāġh jale
ruḳh havā ne badal liyā apnā
faisla ho gayā charāġh jale
mujh ko jalne meñ aar kab hai magar
yuuñ jalā jis tarah charāġh jale
apne hisse kā jal-bujhā 'zīshān'
ab koī dūsrā charāġh jale