kahāñ bashārat-e-fasl-e-bahār laa.ī thī
havā to baaġh kī izzat utaar laa.ī thī
guloñ pe uḌtī huī titliyoñ se yaad aayā
tirī talab mujhe dariyā ke paar laa.ī thī
sadā na phir mire be-jān jism se niklī
havā to us ko guphā tak pukār laa.ī thī
tumhāre saa.e se armān sab nikāle ga.e
visāl-rut samar-e-intizār laa.ī thī
vo koī ḳhaas chamak DhūñDhtā rahā 'zīshān'
hamārī aañkh safar kā ġhubār laa.ī thī