kaisī zamīñ sukūn kahāñ kā kahāñ kī chhāñv
mujh ko nigal ga.ī mire naḳhl-e-amāñ kī chhāñv
chhā jā.egī yaqīn kī arz-e-basīt par
zehnoñ meñ phailte hue dūd-e-gumāñ kī chhāñv
gahrā.iyoñ ne mujh ko ubharne nahīñ diyā
raqsāñ thī sat.h-e-āb pe ik bādbāñ kī chhāñv
sūraj kī mumlikat meñ ġhanīmat samajh use
sar se guzar ga.ī tire abr-e-ravāñ kī chhāñv
ham dhuup ke safar pe musalsal haiñ gāmzan
kashkol-e-chashm meñ liye ik sā.ebāñ kī chhāñv