Zeeshan Ilahi

bas teri had se tujhe aage rasai nahin di

Zeeshan Ilahi

Tanda, Uttar pradesh, India

1990
bas tirī had se tujhe aage rasā.ī nahīñ dī
maiñ ne gaalī to koī ai mire bhaa.ī nahīñ dī
mujhe har fikr se āzād samajhne vaale
mere māthe kī shikan tujh ko dikhā.ī nahīñ dī
dil meñ ik shor uThā haath chhuḌāne se tire
der tak phir koī āvāz sunā.ī nahīñ dī
phuul kāḌhe haiñ mire talvoñ pe vahshat ne mirī
tapte sahrā ne mujhe ābla-pā.ī nahīñ dī
ek-dūje se yuuñ vābasta hue ham donoñ
maiñ ne chāhā nahīñ us ne bhī rihā.ī nahīñ dī
vasl aayā thā tire hijr kā saudā karne
ishq kī ham ne magar pahlī kamā.ī nahīñ dī
haath kyā soch ke khīñchā hai sitam se us ne
maiñ ne zaḳhmoñ kī to 'zīshān' duhā.ī nahīñ dī
Top Urdushayar.com