ham be-gharoñ ke dil meñ jagātī hai Dar galī
sotī hai aadhī raat ko jab be-ḳhabar galī
mujh ko to jān-būjh ke bhaTkā diyā gayā
sarkār kā makān kahāñ aur kidhar galī
kuchh saal qabl mere bhī hisse meñ aa.ī thī
ik dil-nashīn shaam aur ik muntazar galī
chal to paḌā huuñ shauq-e-makāñ meñ tire magar
aage se band ye bhī milegī agar galī
siine se terī yaad lagā kar maiñ so gayā
har-chand shor kartī rahī rāt-bhar galī
ik arse ba.ad udhar se jo merā guzar huā
tum bin sabhī udaas mile ḳhaas kar galī
anjān shahr meñ thā akelā nikal paḌā
'zīshān' tujh ko zehn meñ rakhnī thī har galī