Zeeshan Ilahi

suKHan ka us se yara bhi nahin hai

Zeeshan Ilahi

Tanda, Uttar pradesh, India

1990
suḳhan kā us se yaarā bhī nahīñ hai
suḳhan ke bin guzārā bhī nahīñ hai
bayāñ sheroñ meñ ham karte haiñ jitnā
vo is darja to pyārā bhī nahīñ hai
bahut shikve haiñ us ko zindagī se
magar marnā gavārā bhī nahīñ hai
nazar meñ jitnī hairānī hai utnā
anokhā to nazāra bhī nahīñ hai
libās-e-jāñ tujhe vāpas to de duuñ
magar ik qarz utārā bhī nahīñ hai
nikal aa.e dil-e-vīrāñ kī jānib
koī qismat kā maarā bhī nahīñ hai
sahārā us kā lenā paḌ gayā hai
jo ḳhud apnā sahārā bhī nahīñ hai
jise 'zīshān' baḌh kar roknā thā
use maiñ ne pukārā bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com