hai ajab dhuñd jidhar aañkh uThā kar dekhūñ
reg-e-sāhil se nimaT luuñ to samundar dekhūñ
mere ham-sā.e meñ ḳhālī hai kirā.e kā makān
aa ke bas jaao ki maiñ tum ko barābar dekhūñ
jaane kaun aa ke palaT jaatā hai darvāze se
ek saaya sā maiñ dahlīz par aksar dekhūñ
aisā uljhāyā gayā mujh ko falak-sāzī meñ
itnī mohlat hī nahīñ thī ki zamīñ par dekhūñ
aur gul hoñge khule dahr meñ 'zīshān' magar
apne gulshan se bhare jī to maiñ bāhar dekhūñ