shaam sajā ke kyā kareñ yaad kā ehtimām bhī
bhuul ga.e haiñ ab to ham us kā bhalā sā naam bhī
raah meñ rok kar use aap haiñ sharmsār ham
yaad hī aa nahīñ rahā us se thā koī kaam bhī
tāq-e-mizha pe zau-fishāñ misl-e-charāġh-o-kahkashāñ
us kī galī kī sub.h bhī us kī galī kī shaam bhī
vaqt-e-namāz-e-ishq thā koī na pesh-o-pusht jab
ḳhud hī ko muqtadī kiyā ḳhud hī bane imaam bhī
bāġh-e-vatan kī shāḳh-e-sabz zard na ho kabhī agar
sāzish-e-hukmarāñ se ġhāfil na rahe avaam bhī
us ne kivāḌ khol kar yuuñ hī galī meñ kī nigāh
rahravoñ ke darmiyān Thair ga.ī hai shaam bhī
mujh pe karam-navāziyāñ dasht kī baḌh na jaa.eñ kyuuñ
vālī-e-shahr-e-ishq huuñ us pe tirā ġhulām bhī