banda-e-ishq huuñ juz yaar mujhe kaam nahīñ
ḳhvāhish-e-nañg nahīñ kuchh havas-e-nām nahīñ
maz.hab-e-ishq kā ye Dhañg nirālā dekhā
kuchh vahāñ tazkira-e-kufr aur islām nahīñ
ishq ko jāntā huuñ dīn-o-īmān apnā
ġhair ma.ashūq parastī mujhe kuchh kaam nahīñ
kāba-e-jāñ hai mirā kūcha-e-jānāñ yaaro
sajda-e-dair-o-haram se mujhe kuchh kaam nahīñ
said-e-murġh-e-dil-e-āshiq liye ai dilbar
ḳhaal hai daana aur ye zulf kam az daam nahīñ
dard-e-dil ne hameñ kyā kyā hai chakhā.ī lazzat
is liye dil ko mire ḳhvāhish-e-ārām nahīñ
maz.hab-e-ishq meñ aa kar ke hamīñ ai 'āsim'
shaah ḳhādim ke sivā aur se kuchh kaam nahīñ