sun leve agar tū mirī dildār kī āvāz
hargiz na sune phir kabhūñ mizmār kī āvāz
khul jāveñ agar kaan tire dil ke to be-shak
har samt se phir aa.e tujhe yaar kī āvāz
sun kar vo sadā tā.ir-e-dil kī mire bole
shāyad ki ye hai bulbul-e-gulzār kī āvāz
ho jaave kamāñ tīr-e-falak bār-e-alam se
sun leve jo tere lab-e-sofār kī āvāz
murde ko jilā kar ke banāve hai masīhā
ai īsā-e-daurāñ tirī raftār kī āvāz
suntā huuñ maiñ 'āsim' shah-e-ḳhādim ke laboñ se
har lahza badal shiblī aur attār kī āvāz