Shah Aasim

koi dam thamta nahin baran-e-ashk

Shah Aasim

koī dam thamtā nahīñ bārān-e-ashk
al-amāñ az chashm-e-pur tūfān-e-ashk
kis lab-e-mai-gūñ kī ḳhvāhish hai mudām
josh-zan hai ye mai-e-joshān-e-ashk
shor nāloñ kā mire sun dam-ba-dam
sahmgīñ haiñ yak-qalam tiflān-e-ashk
kashtī-e-gardūñ yaqīñ hai Duub jaa.e
baḌh chalā hai bahr-e-be-pāyān-e-ashk
shauq meñ us silk-dandāñ kī mudām
haiñ nikalte ye durr-e-ġhaltān-e-ashk
jal ke hotā ḳhaak soz-e-dil se tan
gar na kartī aañkh ye sāmān-e-ashk
faiz se ḳhūn-e-dil-e-majrūh kī
rashk-e-gulshan ho gayā dāmān-e-ashk
dho gayā ḳhātir se jānāñ kī ġhubār
jaan par merī hai ye ehsān-e-ashk
huuñ maiñ giryāñ ishq-e-ḳhādim-shāh maiñ
is liye 'āsim' huuñ maiñ nāzān-e-ashk
Top Urdushayar.com