Shah Aasim

is dil mein agar jalwa-e-dil-dar na hota

Shah Aasim

is dil meñ agar jalva-e-dil-dār na hotā
zinhār ye dil maz.har-e-asrār na hotā
hotā na agar jām-e-mai-e-ishq se sarshār
hargiz dil-e-dīvāna ye hoshyār na hotā
hotā na agar us kī mohabbat se sarokār
ye ġham-zada rusvā sar-e-bāzār na hotā
hotī na kabhūñ is dil-e-bīmār ko sehhat
gar lutf-e-masīhā-e-lab-e-yār na hotā
piitā na agar jām-e-mai-e-ishq to hargiz
dil sirr-e-haqīqat se ḳhabar-dār na hotā
hotā na agar ā.īna-e-jalva-e-dildār
dil mahr-sifat matla-e-anvār na hotā
hotā na agar ishq ko manzūr ye iz.hār
vahdat se ye kasrat ko sarokār na hotā
āgāh haqīqat se na hotā kabhū 'āsim'
ḳhādim kā agar faiz madad-gār na hotā
Top Urdushayar.com