āshiq-e-zār huuñ juz ishq mujhe kaam nahīñ
tālib-e-kufr nahīñ tābe-e-islām nahīñ
ġham nahīñ kuchh bhī ḳharābī se hai ham mastoñ ko
gardish-e-jām hai ye gardish-e-ayyām nahīñ
qatl-e-āshiq ke liye ek adā bas hai tirī
bismil-e-ishq ko kuchh hājat-e-samsām nahīñ
kyā huā abr bhī hai mai bhī hai sāġhar bhī hai
hai ye sab hech agar sāqī-e-gulfām nahīñ
dekh kar mujh ko tujhe kyuuñ hai tahayyur nāseh
mashrab-e-ishq hai ye maz.hab-e-islām nahīñ
ḳhāna-e-nāz hai vo balki charāġh-e-murdā
dil ke ā.īne meñ gar rū-e-dil-ārām nahīñ
ishq-e-ḳhādim se huā hai dil-e-'āsim' ma.amūr
is liye dīn-o-duniyā se use kaam nahīñ