Shah Aasim

qaid-e-dil se hai meri kakul-e-pechan nazan

Shah Aasim

qaid-e-dil se hai mirī kākul-e-pechāñ nāzāñ
aur mire qatl se hai ḳhanjar-e-mizhgāñ nāzāñ
hai mirī changul-e-vahshat se garebāñ nāzāñ
aur mirī bārish-e-ashkoñ se hai dāmāñ nāzāñ
kāfir-e-ishq huā jab se maiñ is dahr meñ huuñ
hai mire kufr se ye diin aur īmāñ nāzāñ
zaḳhm khāne se mire faḳhr-kunāñ hai ye dil
ḳhūn-e-dil se haiñ mire dīda-e-giryāñ nāzāñ
sākin-e-ḳhāna-e-zanjīr huā huuñ jab se
misl har halqa-e-zanjīr hai zindāñ nāzāñ
huuñ vo majnūñ ki mire ābla-hā-e-pā se
dasht-e-vahshat meñ hai har ḳhār-e-bayābāñ nāzāñ
mahv-e-ishq-e-shah-e-ḳhādim huuñ maiñ 'āsim' yaksar
husn par jis ke haiñ ye mere dil-o-jāñ nāzāñ
Top Urdushayar.com