dastiyāb us ko huā jab se hai gul-dasta-e-dāġh
bulbul-e-dil kā nahīñ miltā hai zinhār dimāġh
halqa-e-zulf se us kī jo ayaañ haiñ aariz
shab-e-tārīk meñ goyā ki farozāñ hai charāġh
gar faroġh-e-ruḳh-e-jānāna madad-farmā ho
ġham-e-kaunain se ho jaave vahīñ dil ko farāġh
fazl-e-īzad se mubārak rahe ai vā.iz-e-shahr
kūcha-e-yār hameñ aur tujhe firdaus kā baaġh
mast-e-ishq-e-shah-e-ḳhādim huuñ maiñ 'āsim' yaksar
jis ne baḳhshā hai mujhe bāda-e-irfāñ kā ayāġh