hai dil ko mere āriz-e-jānāñ se irtibāt
bulbul ko jis tarah ho gulistāñ se irtibāt
mujh dard-mañd-e-ishq kī tadbīr hai abas
hogā na mere dard ko darmāñ se irtibāt
banda huuñ ishq kā nahīñ maz.hab se mujh ko kaam
kyūñkar karūñ maiñ gabrū musalmāñ se irtibāt
hai rabt mujh ko kūcha-e-jānāñ se roz-o-shab
majnūñ ko jis tarah thā bayābāñ se irtibāt
maz.hab hai merā ishq aur rindī hai merā kaam
hai kufr se na mujh ko na īmāñ se irtibāt
hai rabt mujh ko qāmat-e-jānāñ se jis tarah
qumrī kā hove sarv-e-gulistāñ se irtibāt
'āsim' jahān meñ shah-e-ḳhādim ke maiñ sivā
kāfir huuñ gar karūñ kisī insāñ se irtibāt