Shah Aasim

uTThi hai jab se dil mein mere ishq ki tarang

Shah Aasim

uTThī hai jab se dil meñ mire ishq kī tarañg
shādī o ġham haiñ aage mire donoñ ek rañg
jab se huā huuñ bāda-e-tauhīd se maiñ mast
uThtī hai dil se naġhma-e-mansūr kī umañg
dil andarūn-e-sīna magar ho gayā hai ḳhuun
nikle haiñ merī ā.ankhoñ se jo ashk surḳh rañg
pahuñche hai tīr-e-āh mirā arsh ke pare
jab se lagā hai dil meñ mire ishq kā ḳhadañg
nairañgiyāñ tirī haiñ huī jaise jalva-gar
hosh-o-havās-o-aql-e-rasā jumla haiñ ye dañg
ik baar gar vo dekhe tire ruḳh ko be-naqāb
ka.aba-parast hove vahīñ par but-e-farañg
kar nām-o-nañg tark dilā rāh-e-ishq meñ
āshiq vahī hai jis ko ki hai is se ār-o-nañg
mat rakh tū bahr-e-ishq meñ ai bul-havas qadam
har qatre meñ yahāñ haiñ balā ke do sad nahañg
'āsim' maiñ kyā karūñ shah-e-ḳhādim kī ab sanā
hai pā-e-aql arsa-e-mid.hat meñ us ke lañg
Top Urdushayar.com