hai fanā bismillāh-e-dīvān-e-ishq
āfrīnhā bar-sabaq ḳhvānān-e-ishq
zohra-e-dozaḳh hai aage us ke aab
al-amān az ātish-e-sozān-e-ishq
hai rihā qaid-e-ġham-e-kaunain se
pā-e-tā-sar qaidī-e-zindān-e-ishq
tañg rakhtā hai davā ke naam se
mubtalā-e-dard be-darmān-e-ishq
ḳhūn-e-dil piitā hai aur hai jāntā
nemat-e-uzmā use mehmān-e-ishq
ġhaur kar dekhā to haft aqlīm meñ
hukmarāñ hai be-gumāñ sultān-e-ishq
kashtī-e-gardūñ sarāpā Duub jaa.e
josh meñ aave agar tūfān-e-ishq
bande ko maulā banātā hai mudām
kis qadar hai ye ayaañ ehsān-e-ishq
bhuul jaave zohd-o-taqvā zāhidā
gar kare tū sair-e-kufristān-e-ishq
faiz se 'āsim' shah-e-ḳhādim ke hai
sair meñ apnī bahāristān-e-ishq