Shah Aasim

kya kahun tum se main yaro kaun hun

Shah Aasim

kyā kahūñ tum se maiñ yaaro kaun huuñ
huuñ sarāpā qais-e-sahrā-e-junūñ
chashm-e-ḳhūñ-afshāñ mirī ro deñ agar
dasht ho jaave abhī dariyā-e-ḳhūñ
daar par rakkheñ mujheñ mansūr-vār
faash kar duuñ maiñ agar rāz-e-darūñ
ishq hai ganjīna-e-asrār-e-haq
pā nahīñ saktī ise aql-e-zabūñ
kaun kar saktā hai mujh dīvāna kaun
qaid juz zanjīr-o-zulf-e-pur-fusūñ
rū-ba-rū mastān jām-e-ishq ke
diin kyā hai aur kyā duniyā-e-dūñ
ab to 'āsim' ishq-e-ḳhādim-shāh meñ
huuñ sarāpā qais-e-sahrā-e-junūñ
Top Urdushayar.com