ajab tū ne jalva dikhāyā mujhe
ki aalam meñ phir kuchh na bhāyā mujhe
karūñ kyā bayāñ maiñ ye ehsān-e-ishq
ki qatre se dariyā banāyā mujhe
fidā huuñ maiñ us nāz-e-jāñ-baḳhsh par
ki juuñ juuñ muā meñ jilāyā mujhe
tirī zulf-e-pechāñ ne ai rashk-e-gul
hazāroñ balā meñ phañsāyā mujhe
rulāyā kabhūñ mujh ko mānind-e-abr
kabhūñ barq-āsā hañsāyā mujhe
jo apne ta.iiñ maiñ ne dekhā baġhaur
sarāpā nazar tū hī aayā mujhe
maiñ huuñ shāh-e-ḳhādim par 'āsim' fidā
ki juuñ juuñ maiñ bigḌā banāyā mujhe