lashkar-e-ishq aa paḌā hai mulk-e-dil par TuuT TuuT
kaan meñ aatī nahīñ hai juz sadā-e-lūT-lūT
mil nahīñ saktā ḳhudā hai is ḳhudī ke saath meñ
ai dil is qaid-e-ḳhudī se jald-tar ab chhūT chhūT
barq saañ hañsnā tirā yaad aave hai jis dam mujhe
abr kī mānind rotā huuñ maiñ yaksar phuuT phuuT
hai sadā-e-ḳhanda-e-gul ḳhaar us ke kaan meñ
is liye kahtā huuñ maiñ naale ko apne khoT khoT
tere kufr-e-zulf kī Dorī meñ aksar ahl-e-dīñ
qaid-e-dīñ-dārī se bhāge haiñ nikal kar chhūT chhūT
koī kāfir hī nahīñ juz nafs ḳhud is dahr meñ
pas isī kāfir ke sar ko raat din tū kuuT kuuT
aa gayā bahr-e-haqīqat kā hī gauhar haath meñ
hai milā jab se shah-e-ḳhādim se 'āsim' TuuT TuuT