Shah Aasim

mujhe saqi-e-chashm-e-yar ne ajab ek jam pila diya

Shah Aasim

mujhe sāqī-e-chashm-e-yār ne ajab ek jaam pilā diyā
ki nashe ne jis ke ġham-e-jahāñ mire dil se saaf bhulā diyā
karūñ kyā bayān maiñ vasf ab mai-e-nāb-e-ishq kā dosto
ki ḳhudī kī qaid se yak-qalam ba-ḳhudā ki mujh ko chhuḌā diyā
asar us kī chashm-e-karam kā ab karūñ kis zabān se maiñ bayāñ
ki ba-har makān-o-ba-har taraf mujhe haq kā jalva dikhā diyā
kisī aarzū kī rahī nahīñ hai mire dil meñ kuchh bhī samā.e ab
mujhe sāqiyā mai-e-lutf se tū ne kyā hī ḳhuub chakhā diyā
tirī teġh ġhamza-e-chashm ne jo haiñ qatl mujh ko kiyā sanam
to vahīñ pe īsa-e-nāz ne mujhe ek dam meñ jilā diyā
na faqat tumhārī nigāh ne mire dil ko haath se le liyā
ki tumhārī zulf-e-darāz ne mujhe sau balā meñ phañsā diyā
na thī chashm mujh ko ye ai sanam ki tumhārī chashm ne yak-qalam
mire raḳht-e-aql-o-shakeb ko barq-e-nigah se jalā diyā
mujhe tū ne apne jamāl ke dikhlā ke tarheñ nau bano
kabhū misl-e-abr rulā diyā kabhū misl-e-barq hañsā diyā
maiñ fidā-e-ḳhādim-e-shāh huuñ dil-o-jān se 'āsim' jis ne ab
jise būjhnā hī muhāl thā use ek pal meñ sūjhā diyā
Top Urdushayar.com