be-ḳhudī meñ ajab mazā dekhā
sirr-e-maḳhfī ko barmalā dekhā
aap hī gul hī aap hī bulbul
us ko har rañg-āshnā dekhā
kahtā hai aap samjhe bhī hai aap
us ko har shai meñ ḳhud-numā dekhā
sūrat-e-qais maiñ huā majnūñ
shakl-e-lailā meñ ḳhushnumā dekhā
aap hī ban ke iisā aur murda
aap hī aap ko jilā dekhā
ho bar-afroḳhta ba-sūrat-e-sham.a
shakl-e-parvāna meñ jalā dekhā
sāġhar-e-be-ḳhudī se ho sarshār
ham ne har shai meñ ab ḳhudā dekhā
ālam-e-ishq meñ kaheñ kyā ham
jalva-e-husn jā-ba-jā dekhā
faiz-e-ḳhādim safī se ai 'āsim'
us ko dekhā jise na thā dekhā