Shah Aasim

ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai

Shah Aasim

ishq ke aqlīm meñ chāl-o-chalan kuchh aur hai
hai nirālā Dhañg vaañ kā aur ajā.ib taur hai
ḳhūn-e-dil piitī haiñ vaañ aur khātī haiñ laḳht-e-jigar
lutf ke badle uThāne ko jafā-o-jaur hai
un kī galiyoñ meñ nahīñ hotā guzar hī aql kā
hai junūñ kā band-o-bast aur āshiqī kā daur hai
zindagī aur marg shādī aur ġham aur nek-o-bad
ek saañ haiñ sab vahāñ lekin maqām-e-ġhaur hai
lā-makāñ hai vāste un kī maqām-e-būd-o-bāsh
go ba-zāhir kahne ko kalkatta aur lahore hai
āh-o-nāla kī chalā kartī haiñ vaañ tīr-o-sinān
jo ki jaatā hai vahāñ rahtā vahīñ vo Thor hai
ibtidā meñ jiite jī mar jaanā paḌtā hai vahāñ
par jo mar jaatā hai vaañ jiitā vahīñ fil-faur hai
huuñ maiñ jān-o-dil se 'āsim' shāh-e-ḳhādim par fidā
ishq ke kishvar meñ jis kī shān-o-shaukat aur hai
Top Urdushayar.com