Shah Aasim

islam aur kufr hamara hi nam hai

Shah Aasim

islām aur kufr hamārā hī naam hai
ka.aba kunisht donoñ meñ apnā maqām hai
ye ishq jis kā shor hai aalam meñ haiñ hamīñ
ye husn ham haiñ jis kī ye sab dhuum dhaam hai
ban kar suḳhan zabān pe aalam kī haiñ hamīñ
masrūf apne zikr meñ bas har ik daam hai
dekho jis aañkh meñ to hamārā hī nuur hai
har kaan meñ bharā ye hamārā kalām hai
jo kushtagān-e-ma.arka-e-teġh-e-ishq haiñ
un ke liye ye ālam-e-hastī davām hai
kū-e-sanam se ham ko sarokār hai faqat
vaa.iz tirī bahisht ko apnā salām hai
'āsim' na chhoḌo dāman-e-ḳhādim-safī kabhūñ
ma.amūr jis kī faiz se har ḳhās-o-ām hai
Top Urdushayar.com