Shah Aasim

ba-chashm-e-haqiqat jahan dekhta hun

Shah Aasim

ba-chashm-e-haqīqat jahāñ dekhtā huuñ
maiñ jānāñ kā jalva ayaañ dekhtā huuñ
ye jo kuchh ki zāhir hai sab nūr-e-haq hai
maiñ haq dekhtā huuñ jahāñ dekhtā huuñ
bahar-rañg o har shai o har jā o har sū
tujhī ko maiñ jalva-kunāñ dekhtā huuñ
har ik qatra-e-bahr-e-kasrat meñ yaaro
maiñ dariyā-e-vahdat ravāñ dekhtā huuñ
jahāñ dekhtā huuñ maiñ jalva hai terā
tire ġhair ko maiñ ziyāñ dekhtā huuñ
ye tāsīr hai rāz-e-ulfat kā dil par
chū shādī-o-ġham ek saañ dekhtā huuñ
ba-juz zāt-e-murshid vahāñ kuchh na paayā
maiñ shaiḳh-o-barahman yahāñ dekhtā huuñ
khulā mujh pe hai jab se sirr-e-haqīqat
maiñ apne ta.iiñ ḳhud gumāñ dekhtā huuñ
huā faiz-e-ḳhādim 'safī' se ye 'āsim'
ki sab shān-e-maulā ayaañ dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com