afsāna mire dil kā dil-āzār se kah do
bulbul ke zarā dard ko gulzār se kah do
saudā-e-mohabbat ne kiyā hai mujhe majnūñ
jā silsila-e-gesū-e-dildār se kah do
mujh tishna-e-dīdār kī hai hoñToñ pe ab jaan
lillāh ye chāh-e-zaqan-e-yār se kah do
gardan pe mirī sar ye bahut bār-e-garāñ hai
teġh-e-do-dam-e-abru-e-ḳhamdār se kah do
us chashm se kah do mirī rañjūrī kī hālat
paiġhām ye bīmār kā bīmār se kah do
huuñ banda-e-ulfat nahīñ maz.hab kī hai ḳhvāhish
ye haal mirā sub.ha-o-zunnār se kah do
mansūr-sifat dil se nikaltā hai anal-haq
ye haal mirā jald sar-e-dār se kah do
mizhgān-e-sitamgar ne kiyā mujh ko hai bismil
e.ajāz-e-masīhā-e-lab-e-yār se kah do
'āsim' hī huā kāfir-e-ishq-e-shah-e-ḳhādim
is ramz ko har sāhab-e-asrār se kah do