āñchal jo Dhalaktā hai un kā kabhī shānoñ se
paa.el kī sadā aa kar Takrātī hai kānoñ se
apnī hī halākat kā baa.is hue jaate haiñ
jo tiir nikalte haiñ aaj apnī kamānoñ se
ham ne rah-e-ulfat meñ aa kar yahī sīkhā hai
manzil kā pata lenā qadmoñ ke nishānoñ se
ik baar bhī jo sunñā ham ko na gavārā thā
sau baar sunā ham ne duniyā kī zabānoñ se
jis ne kabhī duniyā kī parvā hī nahīñ kī thī
vo 'nāz' se miltā hai ab laakh bahānoñ se