jaise jaise ālam-e-imkāñ badaltā jā.egā
zehn-e-insāñ nit-na.e sāñchoñ meñ Dhaltā jā.egā
ho sake to apnī ḳhushiyāñ dard ke māroñ meñ baañT
zindagī kā kārvāñ to yūñhī chaltā jā.egā
ain mumkin hai use duniyā havas kā naam de
dil kā jo armān bhī dil se nikaltā jā.egā
mere is ik ashk kī qīmat mire hamdam na pūchh
aañkh se jo tere dāman tak machaltā jā.egā
'nāz' us ke ho nahīñ sakte marāhil sadd-e-rāh
jis ko manzil tak pahuñchnā hai vo chaltā jā.egā