Adeeb Suhail

rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa

Adeeb Suhail

rut badle to aap badal le sab bevhār havā
pag pag saañg rachā.e mausam ke anusār havā
peḌ gharauñde laaTh aur khambe haiñ ḳhāshāk samān
bhairoñ naach rahī hai pahne naag kā haar havā
us kī girheñ khole baḌh kar koī dhyān kī lahr
man meñ liye phirtī hai sadiyoñ ke asrār havā
is vīrāne meñ bhī khulte pag pag ram ke phuul
dil se kabhī go kar bhī guzartī ḳhush-raftār havā
kaun batā.e kab kis kī is raah meñ shāmat aa.e
sunte haiñ andhe ke haath kī hai talvār havā
ham ne to is lamhe meñ bhī rut kā sameTā dard
ravish ravish jab ravāñ-davāñ thī sarsar-kār huā
yuuñ bhī ham ne jhelā hai mausam kā jabr 'suhail'
ḳhushbū kī kabhī lahr banī kabhī teġh kī dhaar havā
Top Urdushayar.com