Adeeb Suhail

ki thi jis ko shakl-e-mahbubi ata

Adeeb Suhail

kī thī jis ko shakl-e-mahbūbī atā
sar usī patthar se zaḳhmī ho gayā
har ghaḌī rahtā thā ā.īna-ba-dast
ḳhud-satā.ī ke sivā kartā bhī kyā
ho gayā jab us ko idrāk-e-jahāñ
toḌ kar ā.īna us ne rakh diyā
vo huā hai pairahan kā yuuñ asiir
khul ke ab hañsnā bhī mushkil ho gayā
is se baḌh kar aur kyā ho us kā vasf
aadmī taḳhlīq-o-takmīl-e-ḳhudā
us ko bāhar kī ḳhabar kyā biich meñ
khīñch kar baiThā huā hai dā.era
hai yahāñ nā-paid ḳhatt-e-mustaqīm
zindagī hai pech-o-ḳham kā silsila
Top Urdushayar.com