ek dīvār sī kohre kī khaḌī hai har sū
par sameTe hue baiThī hai chaman meñ ḳhushbū
ye añdhere bhī hamāre liye ā.īna haiñ
rū-ba-rū karte haiñ kirdār ke kitne pahlū
in sulagte hue lamhoñ se ye miltā hai surāġh
dam-ba-dam TuuT rahā hai shab-e-ġham kā jaadū
dām-bardār koī dasht-e-vafā se guzrā
sūrat-e-ḳhvāb huā husn-e-ḳhirām-e-āhū
phir huā habs kā ehsās-e-girāñ-bār 'suhail'
phir mirā dil hai talab-gār-e-havā-e-gesū