Adeeb Suhail

dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha

Adeeb Suhail

dayār-e-jāñ pe musallat ajab zamāna rahā
ki dil meñ dard laboñ par ravāñ tarāna rahā
kisī pe barq girī shāḳh-e-jāñ sulag uTThī
kisī pe sañg chale sar mirā nishāna rahā
qadam qadam pe milī garche sarsar-e-ḳhūñ-rez
hujūm-e-gul usī andāz se ravāna rahā
adū-e-dost kabhī mujh ko mo'atabar na huā
azal se apnā ye me.ār-e-dostāna rahā
jo qadar-e-fan kā ta.ayyun karo to dhyān rahe
isī sabab se adū merā ik zamāna rahā
jo baat kahnī huī ham ne barmalā kah dī
'suhail' shikva kisī se na ġhā.ebāna rahā
Top Urdushayar.com