Adeeb Suhail

jab se hai baad-e-KHizan sarsar-e-gham aawara

Adeeb Suhail

jab se hai bād-e-ḳhizāñ sarsar-e-ġham āvāra
ḳhushk pattoñ kī tarah rahte haiñ ham āvāra
kuchh to hai baat ki hai mausam-e-gul ke bā-vasf
bū-e-gul bū-e-sabā bū-e-sanam āvāra
kunj-dar-kunj sitam-ḳhurda ġhazāloñ ko abhī
tā-ba-kai rakkhegī ye lazzat-e-ram āvāra
hajla-e-sañg-e-sar-e-rah meñ na jaane kitne
rū-numā.ī ko haiñ betāb sanam āvāra
hai ġham-e-zīst kā yā soz-e-mohabbat kā sila
āriz-e-gul pe jo hai gauhar-e-nam āvāra
rañg-e-āriz ko tamāzat se bachāne ke liye
ruḳh pe lahrāyā huā abr-e-karam āvāra
Top Urdushayar.com