din ke siine pe shaam kā patthar
ek patthar pe dūsrā patthar
ye sunā thā ki devtā hai vo
mere haq hī meñ kyuuñ huā pathar
dā.ere bante aur miTte the
jhiil meñ jab kabhī girā patthar
ab to ābād hai vahāñ bastī
ab kahāñ tere naam kā patthar
ho ga.e manziloñ ke sab raahī
de rahā hai kise sadā patthar
saare taare zamīñ pe gir jaate
zor se maiñ jo pheñktā patthar
naam ne kaam kar dikhāyā hai
sab ne dekhā hai tairtā patthar
tū use kyā uThā.egā 'ādil'
'mīr' tak se na uTh sakā patthar