Aadil Raza Mansoori

ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar

Aadil Raza Mansoori

Jaipur, Rajasthan, India

1978
ek ik lamhe ko palkoñ pe sajātā huā ghar
raas aatā hai kise hijr manātā huā ghar
ḳhvāb ke ḳhadshe se ab niiñd uḌī jaatī hai
maiñ ne dekhā hai use chhoḌ ke jaatā huā ghar
gar zabāñ hotī to patthar hī batātā sab ko
kis qadar TuuTā hai vo ḳhud ko banātā huā ghar
us kā ab zikr na kar chhoḌ ke jaane vaale
tū ne dekhā hī kahāñ ashk bahātā huā ghar
ab use yaad kahūñ yaas kahūñ yā vahshat
mujh ko aatā hai nazar ḳhaak uḌātā huā ghar
thak gayā kyā mire tūlānī safar se 'ādil'
so gayā saath mire mujh ko sulātā huā ghar
Top Urdushayar.com