chāñd taare banā ke kāġhaz par
ḳhush hue ghar sajā ke kāġhaz par
bastiyāñ kyuuñ talāsh karte haiñ
log jañgal ugā ke kāġhaz par
jaane kyā ham se kah gayā mausam
ḳhushk pattā girā ke kāġhaz par
hañste hañste miTā diye us ne
shahr kitne basā ke kāġhaz par
ham ne chāhā ki ham bhī uḌ jaa.eñ
ek chiḌiyā uḌā ke kāġhaz par
log sāhil talāsh karte haiñ
ek dariyā bahā ke kāġhaz par
naav sūraj kī dhuup kā dariyā
tham ga.e kaise aa ke kāġhaz par
ḳhvāb bhī ḳhvāb ho ga.e 'ādil'
shakl-o-sūrat dikhā ke kāġhaz par