Aadil Raza Mansoori

safar ke baad bhi mujhko safar mein rahna hai

Aadil Raza Mansoori

Jaipur, Rajasthan, India

1978
safar ke ba.ad bhī mujh ko safar meñ rahnā hai
nazar se girnā bhī goyā ḳhabar meñ rahnā hai
abhī se os ko kirnoñ se pī rahe ho tum
tumheñ to ḳhvāb sā āñkhoñ ke ghar meñ rahnā hai
havā to aap kī qismat meñ honā likkhā thā
magar maiñ aag huuñ mujh ko shajar meñ rahnā hai
nikal ke ḳhud se jo ḳhud hī meñ Duub jaatā hai
maiñ vo safīna huuñ jis ko bhañvar meñ rahnā hai
tumhāre ba.ad koī rāsta nahīñ miltā
to tai huā ki udāsī ke ghar meñ rahnā hai
jalā ke kaun mujhe ab chale kisī kī taraf
bujhe diye ko to 'ādil' khañDar meñ rahnā hai
Top Urdushayar.com