rāste sikhāte haiñ kis se kyā alag rakhnā
manzileñ alag rakhnā qāfila alag rakhnā
ba.ad ek muddat ke lauT kar vo aayā hai
aaj to kahānī se hādisa alag rakhnā
jis se ham ne sīkhā thā saath saath chalnā hai
ab vahī batātā hai naqsh-e-pā alag rakhnā
kūza-gar ne jaane kyuuñ aadmī banāyā hai
us ko sab khilaunoñ se tum zarā alag rakhnā
lauT kar to aa.e ho tajraboñ kī sūrat hai
par mirī kahānī se falsafa alag rakhnā
tum to ḳhuub vāqif ho ab tumhī batāo nā
kis meñ kyā milānā hai kis se kyā alag rakhnā
ḳhvāhishoñ kā ḳhamyāza ḳhvāb kyuuñ bhareñ 'ādil'
aaj merī āñkhoñ se rat-jagā alag rakhnā