Seema Naqvi

abr hi abr hai barasta nain

Seema Naqvi

Pakistan

abr hī abr hai barastā na.iiñ
ab ke sāvan tumhāre jaisā na.iiñ
ḳhvāb aur saiñt kar rakheñ āñkheñ
in se aañsū to ik sambhaltā na.iiñ
ghūmtī hai zamīn gird mire
paañv uThte haiñ raqs hotā na.iiñ
noch Daale haiñ apne par maiñ ne
maiñ bhī insān huuñ farishta na.iiñ
kaisā harjā.ī ho gayā aañsū
merā dāman hai aur giilā na.iiñ
kab hue dost kab hue dushman
aap kā bhī koī bharosa na.iiñ
dil kī bāteñ aur is se chhoḌo bhī
vo jo lagtā hai yaar vaisā na.iiñ
bātoñ bātoñ meñ jaan leñge sabhī
jo bhī terā nahīñ vo merā na.iiñ
āsmānoñ meñ kho ga.iiñ jā kar
kuchh patañgoñ kī koī 'sīmā' na.iiñ
Top Urdushayar.com