surḳh sunahrī sabz aur dhānī hotī hai
jhiil kināre shaam suhānī hotī hai
ḳhud se jab bhī aañkh milānī hotī hai
aañkh to jaise paanī paanī hotī hai
raqs kare aur aañkh meñ paanī bhar aa.e
har laḌkī thoḌī dīvānī hotī hai
kitnī bojhal hai ḳhiffat kī gaThrī bhī
jo mujh ko har roz uThānī hotī hai
vo kab binā batā.e va.ada toḌ gayā
āñkhoñ se bhī ānā-kānī hotī hai
naanī ke chehre kī lakīroñ ko buntī
bachpan kī har shaam kahānī hotī hai
kaise kah duuñ mujhe mohabbat hai tum se
tum se to har baat chhupānī hotī hai
dil ke darvāze par aahaT suntī huuñ
jabhī to āñkhoñ meñ hairānī hotī hai
bhīge bhīge hoñT jahāñ huuñ shabnam ke
vahīñ kahīñ par raat kī raanī hotī hai
roz nigāheñ sach kah detī haiñ saarā
roz mujhe hī baat banānī hotī hai
tum se mil kar 'sīmā'-naqvī ḳhud apne
hone kī bhī yād-dahānī hotī hai